बुधवार, 24 मार्च 2010

मोहब्बत

chand lamhe bas mulakaato ke kuch hasin the
bas mulakaat huei aapse do pal ke liye
or hum apna pyara se ye dil haar gaye
yun to kabhi phele koi accha kaha laga tha kabhi humko
par bas ek hi mulakaat mein hum aapko jaha mein
sabse juda or sabse hasi maan gaye

phele hamara rob chalta tha apne is chote se dil par bahut
magar didaar tera jo huaa to hum khud se to kya
is chote se naadaan se dil se b haar gaye

isne jab chaha humne yaad kiya aapko
isne jab chaha humne pyar kiya aapse
aap saath the ya naa the karib apne magar
dur rehkar bhi isne mohabbat mein teri
jeena sikha diya humko

yun to bahut dur tak akele chalne ki kaha adat thi humko
magar pyar mein apke hum milo tak batke bahut
khayaal tera fikar teri naa jaane
kaha kaha le jaakar laut ke le aaya humko

phele kaha thi humme himmat itni ki hum
khud se khud ki baat karte ya koi hamara naam leta
pyar kab kaha the layak hum aapse phele

magar apki ek mulakaat ne humko aam se khaas bana diya
jikar jinka nahi hota tha kabhi zamaane mein
aaj log unmein hamara bhi naam liya karte hai

kabhi majnu to kabhi ranjhaa naa jaane kaise kaise
naam pyar mein teri hamara rakhte hai

par ho jo koi bhi baat mohababat ki magar
sach hai ye jab bhi hota hai
naam bahut karta hai logo ki jubaa pe chadta hai
kabhi jo nahi the kaabil kisi ke aaj unke liye

ye saara zamaana hai

pyar tera mujhko karna ya ki ho meri mohabbat tere liye
kuch bhi kaho magar sach mein mohabbat mein aapki
badnaam hokar bhi naam ho gaya hamara

कोई टिप्पणी नहीं: