बुधवार, 29 जून 2011

Kismat

Mat mano kaha mera apki marzi hai,
Mat karo puri chahte meri apki marzi hai,
Mat karo eatbaar mujh par apki marzi hai,

Mat samjho iss dil ko aur iski hasrato ko mere pagalpan ko ...
Utha lo aaj jee bharke mazak mera, karo nazar andaz,
jee lo khud ki marzi se apki marzi hai..

Magar ek baat yaad rakhna hamesha kal jab samjhogi mujhko
aur mehsus kar sakogi ye pyaar mera, tab bhale pukarna naam mera
aur jee bharke aansu bahahna
par main naa latunga paas uss waqt tere
yeh rab ki marzi hai..

Zindagi bhar tu naa samjhi pyaar jis pagal ka
aur dil jiska wo karta raha eatbaar tera,
teri haa ki kabhi toh tu samjhegi usse aur pyaar ko uske ,
aur kisi roz hamesha ke liye uski ho,
usko apne seene se lagakar apna tamam pyaar uss par lutayegi
wo karta raha hamesha intezar teri haa ka aur tu taalti rahi usko..

Aur jab aaj samjhi toh wo naa raha iss duniya me tere liye tujhe apnane ko..
Tujhe gale se lagane ko..
Ab jo aaye hai yeh aansu teri in ankho se ye hai pata mujhko ki sache hai
aur aj tujhko jarurat hai meri ye janta hu main bhi
par main aj jahan hu wahan se lautkar nahi aa sakta kabhi
jo poch saku yeh aansu tere ye meri majburi hai…
Jab talak tha main saath tere maine tujhe hasna hi sikhaya naa kabhi rone diya
Aur aj tu roai toh itna ki yeh asma bhi ro pada pyar me tere yaad karke tujhko,
jo yaki naa aaye toh asma se barsti in bundho ko chhu kar dekh le
ye sirf pani nahi pyaar hai inme mera jo bhae teri ankho se katra bankar
par jab aaye meri aankho me toh laye hai ek sailab naya…

Tujhse pyaar aur teri fikar hamesha rahi mujhko
aj dur hu phir bhi tere saath hu
har pal mujhe mehsus toh kar dil se…
Pyaar Mera hamesha sacha tha tere liye
tu na samjha toh isme teri khata kya bas ye kismat hi apni achi nahi hai…

कोई टिप्पणी नहीं: