dosti mein teri humko saara jaha mil gaya
humne to sirf chah ki thi muthi bhar sitaaro ki
magar mukaddar se humko saara aashmaa mil gaya
hai ye teri dosti ka sila jo hum aaj apni kuch choti si pehchaan rakhte hai
warna to jaane hum kaha ke kho gaye hote
zami ki godd mein dhul bankar so gaye hote
magar mukaddar ko kuch or hi manzur tha
jo usne milaya aapse humko
or hamari ye jindgi hi badal gayi
us ek pal ki mulakaat bhar se
yun laga ki jaise koi khuda falak se zami pe utar aaya hai
tha ye mukaddar mera ki wo mila mujhko
or wo tha likha meri kismat mein
dosti ko naya naam diya usne
khud se jyada apno se badkar pyar kiya mujko usne
jab kabhi aaye aansu aankho mein meri
to akele mein mujhse chupkar usne ro diya haske mere liiye
wo karta raha mujh par rehmo karam apne
or lutaata raha mujh par apni do jaha ki dolat ko
ki mein har pal har lamha khusi or sukun se jiyu
beshak iske badale mein mere us dost ko koi bhi kimat chukani pad jaaye
sochta wo ye tha ki main nahi samajhunga kabhi uske is eahle karam ko
magar nadaan tha wo nahi jaanta tha ki
aksar meine bhi uski khaatir duayein ki thi usse se chupkar
jab kabhi wo chupata tha apne dil ki kayi baatein mujhse
to maine naa samjhi ka bhaahana kiya usse aksar
or khuda se aksar kehta raha ki mera jo kuch bhi ho mukaddar se aage
par mere is pyare se dost or nayaab nagine ko har pal har lamha aei khuda
tu khusiya hi dena, main to ro kar bhi hasne ki chah rakhta hun
tutkar bhi phir se jutne ka hunar rakhta hun
haarkar phir se jeetne ka maaddaa rakhta hun
magar ye hunar nahi hai mere is pyare se dost pe ei khuda
tujhe bhi ye malhum hai acche se
kyunki aksar uske kayi raaz or gam o sikan ke manzar
maine aksar mehusus kiye hai dil se jab kabhi the aaye aansu uski aakho mein
to achanak kuch bund katre ashko ke gire the meri aankho se
jinko maine bhar liya us Waqt apni hatheliyo mein toafaa samjhkar uska
wo sochta raha ki main anjaan hun usse or
maine unhi yaadon mein uske liye ek
yaadon ka jaha bana rakha hai
wo duayein kaarta hai mere liye aksar or
maine uske liye khud khudaa ko
apna murid bana rakha hai
dost wo mera hai ye jaanta hun main bhi
wo chahta hai meri khusi or
maine uski khusi mein khud ko
haste haste gurbaan karne ka khud se
iraada bana rakha hai
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें